Type Here to Get Search Results !

New Hindi Urdu Sad Shayari of Mirza Ghalib in hindi

New Hindi Urdu Sad Shayari of Mirza Ghalib in Two Lines in hindi
Read and Share Now on Facebook & Whatsapp as Status or Send as Sms. 
All Time Best #Ghalib #Shayari.


Ghalib Sad Shayari Collection
मिर्ज़ा ग़ालिब की दर्द भरी शायरी
Shayari of Mirza Ghalib
Shayari of Mirza Ghalib


Ishrat-e-Qatra Hai Dariya Mein Fanaah Ho Jana,
Dard Ka Hadd Se Gujarna Hai Dawa Ho Jana.
इशरत-ए-क़तरा है दरिया में फ़ना हो जाना,
दर्द का हद से गुज़रना है दवा हो जाना।

Siskiyan Leta Hai Wajood Mera Galib,
Nonch Nonch Kar Kha Gayi Teri Yaad Mujhe.
सिसकियाँ लेता है वजूद मेरा गालिब,
नोंच नोंच कर खा गई तेरी याद मुझे।

Ishq Par Jorr Nahi Hai Yeh Woh Aatish Galib,
Ki Lagaye Na Lage Aur Bujhaye Na Bujhe.
इश्क़ पर ज़ोर नहीं है ये वो आतिश ग़ालिब,
कि लगाए न लगे और बुझाए न बने।

Zindgi Apni Jab Iss Shakl Se Gujri,
Hum Bhi Kya Yaad Karenge Ki Khuda Rakhte The.
ज़िंदगी अपनी जब इस शक्ल से गुज़री,
हम भी क्या याद करेंगे कि ख़ुदा रखते थे।

Mundd Gayi Kholte Hi Kholte Aankhein Galib,
Yaar Laye Meri Baalin Pe Use Par Kis Waqt?
मुँद गईं खोलते ही खोलते आँखें ग़ालिब,
यार लाए मेरी बालीं पे उसे पर किस वक़्त?

Ug Raha Hai Dar-o-Diwar Se Sabaza Ghalib,
Hum Biyaban Mein Hain Aur Ghar Mein Bahar Aayi Hai.
उग रहा है दर-ओ-दीवार से सबज़ा ग़ालिब,
हम बयाबां में हैं और घर में बहार आई है।

Bosa Dete Nahi Aur Dil Pe Hai Har Lehja Nigaah,
Jee Mein Kehte Hain Ki Muft Aaye Toh Maal Achchha Hai.
बोसा देते नहीं और दिल पे है हर लहज़ा निगाह,
जी में कहते हैं कि मुफ़्त आए तो माल अच्छा है।

Zikr Uss Pari-Was Ka Aur Fir Bayan Apna,
Ban Gaya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raaz-Daan Apna.
ज़िक्र उस परी-वश का और फिर बयाँ अपना,
बन गया रक़ीब आख़िर था जो राज़-दाँ अपना।

Koyi Mere Dil Puchhe Tere Teer-e-Neem-Kash Ko,
Yeh Khalish Kahan Se Hoti Jo Zigar Ke Paar Hota.
कोई मेरे दिल से पूछे तेरे तीर-ए-नीम-कश को,
ये ख़लिश कहाँ से होती जो जिगर के पार होता।

Ghar Mein Tha Kya Ki Tera Gham Usse Garat Karta,
Woh Jo Rakhte The Hum Ik Hasrat-e-Tamir So Hai.
घर में था क्या कि तेरा ग़म उसे ग़ारत करता,
वो जो रखते थे हम इक हसरत-ए-तामीर सो है।

Lo Hum Mareej-e-Ishq Ke Bimar-Daar Hain,
Achha Agar Na Ho Maseeha Ka Kya ilaaj.
लो हम मरीज़-ए-इश्क़ के बीमार-दार हैं,
अच्छा अगर न हो तो मसीहा का क्या इलाज

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.